Naat e Rasool e Maqbool ﷺ

Dare Akdas pe haal e dil sunana yaad aata hai 


Dare Akdas pe Dare akdas pe haal e dil sunana yaad aata hai 

Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai

Madine mein jo guzra wo zamana yaad aata hai

Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai 



Adab se baith kar us gumbade khazra ke saaye mein

Nabi ki yaad mein aansu bahana yaad aata hai


Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai 




Rasulallah ke darbar mein unki muhobbat mein

Ye tera rozo shab ka aana jaana yaad aata hai


Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai




Awais  karni bole maa ijazat dijiye mujko

Judaee mein tadapta hun madina yaad aata hai


Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai 




Mizare fatema pe karbala walon ki yaad aaee

Madine waale aaqa ka gharana yaad aata hai


Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai 




Nabi ke zikr ki mehfil mein aate hi muje Mohsin

Madina yaad aata tha Madina yaad aata hai


Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai 


Comments

Popular Posts